Tuesday, July 14, 2015

Dard

Ajib Saaneha Mujh Par Guzar Gaya Yaaro,
Main Apane Saaye Se Kal Raat Dar Gaya Yaaro,

Har Ek Naqsh Tamanna Ka Ho Gaya Dhundhala,
Har Ek Zakm Mere Dil Ka Bhar Gaya Yaaro,

Bhatak Rahi Thi Jo Kashti Wo Gharq-E-Aab Hui,
Chadha Hua Tha Jo Dariya Utar Gaya Yaaro,

Wo Kaun Tha Wo Kahan Ka Tha Kya Hua Tha Usey,
Suna Hai Aaj Koi Shaks Mar Gaya Yaaro

Sharyaar....