Wednesday, November 26, 2014

Kahin Jaaye Usey Meri Duayein Yaad Karti Hain,
Usey Kehna Usey Meri Wafayain Yaad Karti Hain,
Usey Kehna Khizaien Aa Gayi Hain Ab To Laut Aaye,
Usey Kehna December Ki Hawaayain Yaad Karti Hain,
Usey Kehna Ke Aankhon Mein Ghanni Badli Si Chaayi Hai,
Jinhein Dil Pe Barasna Hai, Ghatayain Yaad Karti Hain,
Gaya Tha Jab Tu Meri Khwahishein Bhi Saath Le Jata,
Lahu Mein Naachti Kuch Iltejaayen Yaad Karti Hain..
Wasi Shah

No comments: